Kitne Yatna Shivir
BücherAngebote / Angebote:
Samaj ke kamzor vyakti ke sanghasrh kaa chitran karti marmik kahaniyan. Kabr ki zamin (Jesinta
kerketta) me jab ek adivasi yuvti ke bachche ke kriya-karm ki baari aati hai, to dharm ke thekedaar
uth khade hote hain...
Gulabi Ration card (Vandana Shukla) me gharib adivasiyon ke ek gaon me ek din ghoshna hoti hai ki
un sabko makaan diya jayega.Unke sapne pankh farfarane lagte hain.Lekin pata chalta hai ki makaan
banaane ki pariyojna par rok lag gayee hai.Uske baad jo hota hai, use dekh adhikaarion ke hosh ud
jaate hain....
Koyla chor( Neeraj neer) me ek naujawan apni patni ke kahne par anya kayi doston ki tarah ek
bekaar pade khadaan se koyla nikaalkar use bechne ke awaidh dhande me shamil hota hai, magar....
Meena bazar (Vaibhav singh) ek adher salesman par hai, jo saari ke ek showroom me kaam karta hai.
Showroom ke boodhe maalik ki maut ke baad uskaa ladka cctv camera lagwaa deta hai. Yeh camera,
salesman ki zindgi me toofaan macha deta hai... gyaarah udiymaan kathakaar-Jesinta kerketta,
kamlesh, Vandana shukla, Neeraj neer, Vaibhav singh, Hari mridul, Yusuf kirmani, Alok kumar
mishra, Vijay kumar tiwary, Dr. Ayesh Aarfin, Ram nagina maurya-Jinki kahaniyon kaa chayan kiyaa
hai kavi, kathakar, natakkaar aur anuvadak Sanjay kundan ne.
Folgt in ca. 10 Arbeitstagen